Monday 21 August 2017

Youtube Par Video Upload Karne Ki Default Setting Kaise Kare ~ foundjava

Youtube par videos upload karte time aapko har bar video ko monetize, video ke bare me (Video description), tags and other bahut si setting karni padti hai. But aap chahao to ye sabhi setting ek bar kar sakte ho or jab aap new video upload karoge to aapko video me ye sab setting nahi karni padegi. Is post me aapko isi ki jankari milegi ki sabhi video ko ek sath monetize kaise kare.
How To Set Youtube Video Upload Default Settings
Hello sir kya mai YouTube par sabhi videos ko ek sath monetize kar sakta hu. Ya fir mujhe har bar new video upload karne par monetize karne padenge.” Ye sawal mujhse last day akhil ne puch tha. Akhil ke alawa is bare me mujhse bahut log puch chuke hai. So aaj mai is article ki help se aap sabhi ko iske bare me bta raha hu. Jisse aapko YouTube par bar bar new video ki setting nahi karni padegi.
Aap YouTube par ek bar monetize setting kar donge to aapki new video automaticlly monetize ho jayegi. Monetize ke alawa aap or bhi bahut si setting default rakh sakte ho. Jo video ypload kartne par aapko already set huyi milegi. Is article me aapko nimn sawalo ke jawab milenge.
  • Kya mai apni sabhi videos ko ek  bar me monetize kar sakta hu?
  • Kya mai apni all videos ke liye ek bar me description add kar sakta hu?
  • Kya mai videoss title me permant koi words add kar sakta hu?
  • Mai apne videos ke liye default setting set kar sakta hu?
  • Mai YouTube channel par video setting kaise kar sakta hu?

Youtube Par Video Upload Defaults Setting Kaise Set Kare

Youtube par video upload karne time jo setting karni hoti hai. Aap use already set kar sakte ho. Iske liye aapko YouTube setting me ja kar Upload defaults setting me information bharni padegi. Jiske liye aap niche diye step follow kar sakte ho.
Sabse pahle aap YouTube site par jaye or apni gmail ID se log in kare. Uske bad Left side sidebar me My Channel >> Video Manager par jaye. Ab left sidebar me Channel > Upload defaults par click kare. Ab jo form khule usme niche diye step ko follow kar ke sahi information set kare.
  1. Privacy: Aap video ko public, private or inlist kar sakte hai. Public ka matlab aapki video ko sari duniya dekh sakti hai. Private ka matlab aapki video ko sirf aap dekh sakte hai. Unlist ka matlab video aapki list me show nahi hoga.
  2. Category: Aap YouTube par kis tarah ki video upload karne wale hai. Uske liye apne video se related category select kare. Mai blogging or logo ki help ki video upload karta hu. Isliye maine “People & Blogs” select kiya hai.
  3. License: Agar aapke pas koi license hai to uski information yaha set kar sakte hai. Or agar aapke pass koi license nahi hai to aap Standard YouTube License Select kare.
  4. Title: Apne new video ke liye koi bhi title choose kare. Yaha aap wo words likh sakte ho. Jise aap apni har video ke title me add karna chahate ho. Example: Apne channel ka short name.
  5. Description: Apne channel ke sabhi videos ke liye ek description banao. Kyuki yaha aap jo bhi information bharoge wo aapki har new video ke ke liye hogi. Mai aapko suggest karunga ki aap yaha apne channel ke sabhi videos ke liye description set kar sakte hai. Jaise aap yaha par kis tarah ki video upload karte ho. Aapki kisi website ya blog ki details ya fir aapki social media profiles ki infomation jisse log aapko follow kar sake. Examply aap mere videos par information dekh sakte ho.
  6. Tags: Koi important tags jo aapki har video se related ho. Aap yaha par set kar sakte ho. (Aap maximum 5-7 tags hi use kare.)
  7. Comments and ratings: Agar aap chahate ho ki aapke videos par log comment kare or aapke video ki rating bhi byate to aap comment and ratings ke samne tick kare.
  8. Moderation: Yaha par two options hai all and approved. All yani aapki videos par sabhi comment kare or wo sabhi comments show ho. Approved yani only aapke approved karne par comments show ho.
  9. Allow view rating: Kya video dekhne wale aapke video ki rating dekh sakte hai.
  10. Monetization: Agar aap new video ko automatically monetize karna chahate hai to is par tick kare.
  11. Ad formats: Yaha Overlay in-video ads, Skippable video ads or Sponsored card teen tarah ke ad format hai. Aapko videos par kis kis type ke ads dikhane hai wo select kare.
  12. Automatic mid-roll ads: Agar aap YouTube par long videos upload karte ho to aap ye option select kar sakte hai. Isse aapki videos ke beech beech me bhi ads show honge. Aapne movies or badi videos ke bich me ads dekhe bhi honge. Automatic mid-roll ads tabhi show hote hai jab aapki video 10 minutes se jyada ki ho.
  13. Language: Aap kis bhasha ki video upload kar rahe ho. Apne videos ki bhasha choose kare.
  14. Allow viewers to contribute subtitles and closed captions: Log aapki videos or uske title ko dusri language me convert kar sakte hai or aapki video ko dusre logo ke sath sahre kar sakte hai. Mostly agar aap chahate hai ki people aapki video ki language yani transtate kar sake to aap ye option select kar sakte ho.
  15. Caption certification: Yaha aapko ye select karna hai ki aapka video aapka banaya hua hai or copyright nahi hai. Or ise aapne banaya hai. Jiska aapke pas proof hai.
  16. Suggest video improvements: Agar aap chahate hai ki log aapko videos me sudhar ke liye suggest kar sake to aap “Suggest video improvements” select kare ya fir “Never Suggest video improvements” select kare.
  17. Video Location: Agar aap apne new videos ke liye location set karna chahate ho to yaha par kar sakte ho.
  18. Make video statistics on the watch page publicly visible: Agar aap chahate ho ki aapke vides YouTube watch page par publicly yani sabko dikhayi de to yaha select kare.
  19. Save: Aapne abhi jo settings set ki hai. Use save karne ke liye save par click kare.
Youtbue Upload Defaults
Ab jab bhi aap apne YouTube channel par koi video upload karoge to aapko upar ki gayi setting pahle se huyi milegi. Jisse aapko bar bar new videos par full information nahi bharni padegi. By the way agar aapko meri koi bat samajh nahi aayi ho ya fir aapko YouTube ke bare me koi or jankari chahite to aap comment section me sawal puch sakte ho.
I hope is articles ko padhne ke bad aapko bar bar video ko monetize karne or bar bar all setting karne nahi padegi or aap is post ko jarur pasad karoge. Agar aapke past video uploading default setting ke bare me koi or informtion hai to aap comment me apni jankari share kar sakte ho.
Agar aapko ye information better lage or aapke liye helpful ho to is post ko social media par share or post ke bare me comment jarur kare.

No comments:

Post a Comment